
eho jehi c
shehar barbaad
pani diyaa challan ne kita
badnaam bechara
samunder ho gya

Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise
Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise
_________________________________
Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya
Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya
Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya
_________________________________
Kaun kehtaa hai janaab jhoothi kasme khaane se marte hai
mere mehboob ne to har kasam meri jhoothi khayi hai
कौन कहता है जनाब झुठी कसमें खाने से मरते है
मेरे मेहबूब ने तो हर कसम मेरी झुठी खयी है।।