Skip to content

Arwa

Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari

Dard do dilon ka raasta hota hai,
Kise rishte ka mohtaj nahi.
Dard do dildaron ki masoomiyat batata hai,
Kisi raees ki pehchan nahi.
Dard ko thodi hamdardi chahiye,
Dard ko choti tasalli chahiye,
Kisi kagaz ki mohar nahi.
Halki si thandi hawaein mangta hai,
Sath hone ka ehsas mangta hai,
Kisi khazane ki chamak nahi.

Dil toh har roz toot ta hai || sad shayari

Dil toh har roz toota hai,
Bas awaz nahi ati.
Cheeq toh har roz nikalti hai,
Bas sunayi nahi deti.
Ek safar hi toh hai,
Naya sabera – nayi umeed,
Naye rasta – nayi mushkil,
Phir raat – phir wahi halat.
Umeedien toh khwab mein bhi nahi ati.
Manzil toh har baar dur hoti hai,
Thakan bhi toh har roz hoti hai.
Bas musafir ruk nahi sakti.

Dil lagi || truth about life shayari

Har jagah dil lagaoge,
Toh hath mein dil ke tukde hi reh jayenge.
Har bar dil se sochoge,
Toh ankhon mein ansu hi reh jayenge.
Sun lenge log agar pathar dil bulayenge,
Sun lenge log agar pathar dil bulayenge.
Har sawal ke jawab mil jayenge,
Warna jawabon mein bhi sawal hi reh jayenge.

Tumko bhool jana || love sad shayari hindi

Ghadi ki tarha chalte ho tum hamare dimagh mein,
Tumko Yaad karne ki wajah nahi hoti.
Hawa ki tarah jhoomte ho tum hamare khayalon mein,
Tumko bhulane ki koshish nahi horahi.
Hazar wajah mil gaye tumse dur jane ki,
Hazar wajah mil gaye tumse dur jane ki
Maan kar isey khudrath ka faisla chale bhi gaye hum dur,
Kambakht kismat phir se paas le aayi.
Zid hamari bhi hai ke hojayenge tumse dur,
Kyun ki tumhare pyar mein wo pehle jaisi kashish nahi rahi.

Khamoshi aur Himmat || motivational shayari hindi

Kabhi kabhi ro liya karo acha lagega,
Ansu ke sath sath dard bhi behjayega.
Thoda intezar aur karlo,
Andheri raat guzregi, tabhi toh naya savera milega.

Kabhi kabhi khamosh reh liya karo sukoon milega,
sawal ke sath sath jawab bhi milega.
Thodi himmath aur rakhlo,
Kamzori khatam hogi tabhi toh jeet ka pata chalega.

Hamko naa mile wahi toh pyar hai || hindi love shayari

Tumse dur hone ka ghum itna hoga socha nahi tha,
Hum bhi itne kamzor hain pata nahi tha.
Kaise itni jaldi kamzori ban gaye,
Milne se pehle hi zindagi bhar ka ghum de gaye.
Pehli baar mehsoos ki hai aisi khoobsurti,

Apni awaz se hi badal di humari duniya,
Kya pata agar mulaqat hoti,
Toh hamari kismat hi badal jati.
Dekho kitne majboor hain hum,
Dosti hamari thi, Dard bhi hamare hain,

Duri hamari thi, saza bhi hamari hai.
Galti bhi hamari thi, faisle bhi hamare hain.
Asal sapna toh tumse milkar dekha,
Jab ankhein khuli toh pata chala,
Jo noorani hai, wahi toh khwab hai,
Jo humko nahi mila wahi toh pyar hai.

Arwa