Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Bhula na paya || hindi shayari love
Juda karne ki koshish to bahuton ne ki thi,
Lekin Aaj tak use main bhula na paya,
Pyaar pane ki koshish to humne bhi bahot ki thi,
Magar aaj tak tumhaara pyar mil na paya
@80rullah
Title: Bhula na paya || hindi shayari love
Baat adhoori nhi hoti || hindi shayari
Tujhse batein karke bhi, meri baat poori nhi hoti.
Tujhe yaad kiye bina, meri raat poori nhi hoti
Tujhse roj milkar bhi, meri mulakat poori nhi hoti
Koi khushi meri, paye bina tera hath poori nhi hoti
Jaise khoob baras ke bhi dharti ke liye barsaat poori nhi hoti
Vesa hi tujhe paane ki chahat bhi chahat ke sath poori nhi hoti
Jaanta hu sirf baat karne se baat hatho hath poori nhi hoti
Lekin..
Baton baton mein ko baat karni thi vo keh dete to baat adhoori nhi hoti..
तुझसे बातें करके भी, मेरी बात पूरी नहीं होती..
तुझे याद किए बिना, मेरी रात पूरी नहीं होती..
तुझसे रोज मिलकर भी, मेरी मुलाकात पूरी नहीं होती..
कोई खुशी मेरी, पाए बिना तेरा साथ पूरी नहीं होती..
जैसे खूब बरस के भी धरती के लिए बरसात पूरी नहीं होती..
वैसा ही तुझे पाने की चाहत भी चाहत के साथ पूरी नहीं होती..
जनता हूं सिर्फ बात करने से बात हाथों हाथ पूरी नहीं होती..
लेकिन..
बातों बातों में जो बात कहनी थी वो कह देते तो बात अधूरी नहीं होती..
