Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best
Jaane kon kon se Raaz kholti hai
Khamoshi jab sir chhad kar bolti hai
Le jaati hai mujhe Andheri galiyon m
Fir der tk meri nbz tatolti hai
Durr rehne ki iss se kai minnate ki mene
Teri hamraaz hoon reh reh kar Bolti hai
Kya milta hai ise gade murde udkhad kar
Raat raat bhar laasho sang dolti hai
Zehr .. tezaab… Awara khushuye
Kya kya aakar zehn m gholti hai
Mere badan m uthi hai basi limsa koi
Bechain rooh mano tera rasta tatoli hai
Title: Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best
Mohobbat kaha karta hai || beautiful lines || sad but true shayari
Alfazo ko padhta hai vo mere jazbaton ko kaha samjhata hai
Sirf baat karta hai mohobbat se kambakhat mujhse mohobbat kaha karta hai💯
अल्फाजों को पढ़ता है वो मेरे जज्बातों को कहां समझता है
सिर्फ बात करता है मोहब्बत से कमबख्त मुझसे मोहब्बत कहां करता हे।💯
