Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Sukun kaha hai ab || hindi shayari || zindagi shayari
Sukun kaha hai ab aisi aab-o-hawa mein
Chal rahi hai zindagi apni apni wafa mein
Tu wafadar bhi hai aur adakaar bhi e zindagi
Jaan chuka hu tere kirdaar, mein pehli hi dafa mein…💯🍂
सुकूं कहां है अब ऐसी आब-ओ-हवा में,
चल रही है जिंदगी अपनी, अपनी वफा में,
तू वफादार भी है और अदाकार भी ए-जिंदगी,
जान चुका हूं तेरे किरदार, मैं पहली ही दफा में…💯🍂
Title: Sukun kaha hai ab || hindi shayari || zindagi shayari
Mohobbat || Hindi shayari || two line shayari
Zid to motiyon ki hoti hai bikhar jane ki
Humne to dhage mein apne mohobbat piroya hai…❣️
ज़िद तो मोतियों की होती है बिखर जाने की
हमने तो धागे में अपने मोहब्बत पिरोया है…❣️
