Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Dil toh har roz toot ta hai || sad shayari
Dil toh har roz toota hai,
Bas awaz nahi ati.
Cheeq toh har roz nikalti hai,
Bas sunayi nahi deti.
Ek safar hi toh hai,
Naya sabera – nayi umeed,
Naye rasta – nayi mushkil,
Phir raat – phir wahi halat.
Umeedien toh khwab mein bhi nahi ati.
Manzil toh har baar dur hoti hai,
Thakan bhi toh har roz hoti hai.
Bas musafir ruk nahi sakti.
Title: Dil toh har roz toot ta hai || sad shayari
Sapne || hindi shayari
Nazron mein kaid hai mere kuch haseen sapne
Mein ankhein band kar lu to duniya mujhe tanha karaar deti hai
Agar hawayon ko choo lun ti mere par kaat deti hai
Sapne dekhna to aadat hai meri
Bas yahi ek khushi hai jo mera gam bant deti hai…
नजरों में कैद हैं मेरे कुछ हसीन सपने…
मै आँखे बंद कर लूं तो दुनिया मुझे तनहा करार देती है,
अगर हवाओं को छू लूं तो मेरे पर काट देती है,
सपने देखना तो आदत है मेरी,
बस यही एक खुशी है जो मेरा गम बांट देती है…
