Skip to content

Tu mere pass || hindi shayari

Seher mai andhera hai…
Mera ghar toh roshan hai magar…
Yeh waqt nahi kuch khas hai…
Par khush hun tu jo mere paas hai..🥰

शहर में अंधेरा है
मेरा घर तो रोशन है मगर
ये वक़्त नही कुछ खास है
पर खुश हूं तू जो मेरे पास है..🥰

Title: Tu mere pass || hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Khata se pehle || love Hindi poetry

Maar hi daal mujhe chasm
A ada se pahle apni manzil
Ko pahunch jau kaza se
Pahle….!!

Ek nazar dekh lu aa jao
Kaza se pahle tumse milne
Ki tamanna hai khuda se
Pahle….!!

Hashr ke din mein puchunga
Khuda se pahle tumne roka
Nahi kyu mujhe khata se
Pahle….!!

A meri mout thahar unko
aane De zara zahar ke jaam
na De mujhko dawa se pahle.

Haath pahunche bhi na the
Zulf tak yaaro hathkadi
Daal di zalim ne khata se
Pahle…….!!



Saaso par naam || love hindi shayari

Apne dil ki sun afwaho se kaam na le
Mujhe yad rakh beshaq mera naam na le🙏
Tera veham hai ki mai bhula hu tujhe
Meri koi saas nahi jo tera naam na le😍

अपने दिल की सुन अफवाहों से काम न ले
मुझे याद रख बेशक मेरा नाम न ले🙏
तेरा वहम है कि मैं भूला हूँ तुझे
मेरी कोई सांस नहीं जो तेरा नाम न ले😍

Title: Saaso par naam || love hindi shayari