
Tu naal howe ta zindagi khoobsurat e
Tu nhi taa jiona khuaar..!!
Tenu Socha ta jag v sohna jeha lagde
Na Socha ta duniya bekaar..!!

Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise
Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise
_________________________________
Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya
Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya
Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya
_________________________________
Meri shikayatein vo mujhe aakar batati hai
Kabhi kabhi vo mujhse ese bhi pyar jatati hai 😍🥰
मेरी शिकायतें वो मुझी से आकर बताती है
कभी कभी वो मुझसे ऐसे भी प्यार जताती है😍🥰