Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Main awaara || musafir love shayari
Bhatakta hua musafir hoon yaara
Dar badar phir raha hoon haalat ka maara
Main bekhabar aur besahara
Chala hoon apni taqdeer likhne
Adhuri kahani ko Puri karne
Khud ki manzil ka toh pata nahi raah sab ko dikhata hoon
Apne rashte main gumrah hoon dusron ki chah puri karta hoon
Apne liye awara hoon,dusre ke liye aankh ka tara hoon
Afsos tune ne na samjha mere dil ko
Main tere liye Aaj bhi dil haara hoon
Title: Main awaara || musafir love shayari
khushiyaan to kab kee rooth gayee || Sad Hindi Shayari
khushiyaan to kab kee rooth gayee hain kaash kee,
is zindagee ko bhee kisee kee nazar lag jaaye..
खुशियाँ तो कब की रूठ गयी हैं काश की,
इस ज़िन्दगी को भी किसी की नज़र लग जाये..
