Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Khamosh nazro se || true line Hindi shayari
Apni izzat ke khatir to marte sabhi hain
Aabroo auron ka bhi dhako to ascha rahega
Zubaan se hi byan ho har baat, kisne kaha hai
Khamosh nazro ko bhi padho to ascha rahega💯
अपनी इज़्ज़त के ख़ातिर तो मरते सभी हैं,
आबरू औरों का भी ढको तो अच्छा रहेगा।
ज़ुबाँ से ही बयाँ हो हर बात, किसने कहा है,
ख़ामोश नज़रों को भी पढ़ो तो अच्छा रहेगा।💯
Title: Khamosh nazro se || true line Hindi shayari
Mitti ki khoobsurti || Hindi shayari
Girte patton se shakhon ke berang nazare hain
Lehron ki khanak sunne ko betaab kinare hain
Murjha gayi hain kaliyan bhi do boond pani ki aas mein
Mitti ki khoobsurti ab bejaan foolon ne saware hain…💯
गिरते पत्तों से शाखों के बेरंग नज़ारे हैं,
लहरों की खनक सुनने को बेताब किनारे हैं,
मुरझा गई हैं कलियाँ भी दो बूँद पानी की आस में,
मिट्टी की खूबसूरती अब बेजान फूलों ने सवारे हैं…💯
