Skip to content

umeed-punjabi-true-love-shayari-status

  • by

Title: umeed-punjabi-true-love-shayari-status

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Mukammal mohobbat || love hindi shayari

Agar upar wale ki raza na hoti
Hamari tumse mulaqat na hoti
Dekh liya tumhari muskurahat ko
Ab sirf tum tum aur tum jab tak
Mohabbat mukammal na hoti..

Pata nahi kya raaz hai uske chehre ka
Kho jata hoon bus inn nigaah-e-ulfat mein..

Nazar andaaz bhi karna hai aur nazar bhi rakhna hai
Jawaab bhi nahi dena aur kalaam bhi padhna hai
Zubaan pe inkar aur dil mein ikrar rakhna hai
Khairiyat nahi poochni phir bhi khabar rakhna hai
Faisla bhi lena hai aur mere jazbaat ka khayal bhi karna hai
Dil tootne ke baad mera haal bhi gaur karna hai
Bus yahin kuch aadatein aapki pasand hai mujhko..

Meri shikayatein agar mohabbat ki adaalat tak le jaye
Toh main pehli hi tareekh mein muqadma jeet jaun..

Ek khud pasand aashiq
Aur ek usulon wali mehbooba
Dono kaafi hai sukoon tabaah karne ke liye..

Title: Mukammal mohobbat || love hindi shayari


Lamhe aaj kal ke || hindi shayari

Mom se hain gir rahe armaan yun pighal ke
Angaro mein sulagh rahi kuch aag halke halke
Mausam badal rahe palkein bhiga rahe hain
Kuch lamhe beete kal ke kuch lamhe aaj kal ke

मोम से हैं गिर रहे अरमां यूं पिघल के 
अंगारों में सुलग रही कुछ आग हल्के हल्के 
मौसम बदल रहे पलकें भीगा रहे हैं  
कुछ लम्हे बीते कल के कुछ लम्हे आज कल के

Title: Lamhe aaj kal ke || hindi shayari