Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
TUM HI HO || Love hindi shayari for whatsapp status
love hindi shayari for whatsapp status in female voice:
Dil mein dhadkan ki jgah tum love shayari:
Agr khushiyon k rup m tum na hote zindgi mein…
To kasam se mere aansu kbi kam na hote
Marte marte aaj b ji rhe hote hum..
Agr zindgi mein aaye kbi tum na hote
Hasna tere aane se sikha hai Mene..
Varna hasi mein bdle kbi mere gm na hote
Agr dil mein dhadkano ki jgah tum na hote..
To tumari kasam hum aaj hum na hote
अगर खुशियों के रूप में तुम न होते ज़िन्दगी में
तो कसम से मेरे आंसू कभी कम न होते
मरते मरते आज भी जी रहे होते हम
अगर ज़िन्दगी में आये कभी तुम न होते
हँसना तेरे आने से सीखा है मैंने
वरना हँसी में बदले कभी मेरे ग़म न होते
अगर दिल में धड़कनों की जगह तुम न होते
तो तुमारी कसम हम आज हम न होते..!!
Title: TUM HI HO || Love hindi shayari for whatsapp status
Mujhe apne pass bulale
toh kya hua jo usse abb baat nahi hoti
bina bat kiye mohobbat kam nahi hoti
tere bina kahe hi sun leta hu abb me
mohobbat ko har baar izzhar ki jarurat nahi hoti
mana tere bina waqt thora mushkil lag raha hai
aane wala har waqt bohot khaas lag raha hai
tere sath waqt bitane ke thori mehnat kar raha hu
awara pan chorr papa ki dukan me baith raha hu
teri khawahishe puri karne ke liye paisa jod raha hu
gharwale bol kar thak gaye tere bina kahe hi me tere liye sudhar Raha hu
din raat tere sath shadi ke khawab bun raha hu
kahi ye khawab tut na jaye ye soch soch kar mar raha hu
tere gharwalo ko manane ki puri koshish kar raha hu
koshish kar kar me thak gaya hu
unko manate manate khudse dur hogaya hu
bhag jana mujhe thik nahi lagra
tujhe unse dur karneka man nahi karra
ye khuda tuhi abb kuch jadu karde
uski yadon me mar raha hu me
tu pass aakar mujhe revive karde
apni koi Jadu ki chadi ghumade
ya fir uske zehan se meri yadain mitade
ye kahani ko manzil tak pohochade
yafir mere nam ko uske zindagi se mitade
ye khuda ek kam kar tu mujhe apne pass hi bulale
