Skip to content

images (2)-3ae4257f

Title: images (2)-3ae4257f

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Mukammal mohobbat || love hindi shayari

Agar upar wale ki raza na hoti
Hamari tumse mulaqat na hoti
Dekh liya tumhari muskurahat ko
Ab sirf tum tum aur tum jab tak
Mohabbat mukammal na hoti..

Pata nahi kya raaz hai uske chehre ka
Kho jata hoon bus inn nigaah-e-ulfat mein..

Nazar andaaz bhi karna hai aur nazar bhi rakhna hai
Jawaab bhi nahi dena aur kalaam bhi padhna hai
Zubaan pe inkar aur dil mein ikrar rakhna hai
Khairiyat nahi poochni phir bhi khabar rakhna hai
Faisla bhi lena hai aur mere jazbaat ka khayal bhi karna hai
Dil tootne ke baad mera haal bhi gaur karna hai
Bus yahin kuch aadatein aapki pasand hai mujhko..

Meri shikayatein agar mohabbat ki adaalat tak le jaye
Toh main pehli hi tareekh mein muqadma jeet jaun..

Ek khud pasand aashiq
Aur ek usulon wali mehbooba
Dono kaafi hai sukoon tabaah karne ke liye..

Title: Mukammal mohobbat || love hindi shayari


Na aaye uski yaad || sad love hindi shayari

Yeh raat bahut…,                               
gehri neend mai dale..                     
Ki na aaye uski yaad…                         
Hume khudkushi se bacha le…

यह रात बहुत…
गहरी नींद में ढले..
कि न आए उसकी याद…
हमें खुदकुशी से बचा ले…

Title: Na aaye uski yaad || sad love hindi shayari