Skip to content

WO YAAD

“SAPNO MEI THI TUM RAAT BHAR,

TUMHARI YAADON KA BOHOT HUA ASAR,

BEKAAR THE WO DIN,

BITAYE JO MAINE TERE BIN,

UTHNE KA AB MANN NAHI KARTA,

HAR ROZ YE DIL HAI AB MARTA,

SHAAM KO TERI ZULFE YAAD AA  JAATI,

KAASH TU BHI KABHI MERI HO PAATI,

TOD DI TUNE MERI YE CHAHAT,

KABHI NAHI DE PAAYI TU MUJHE RAHAT,

AB TO NEEND KO BHI DIYA HAI TAAL,

PHIR SE BITANA PADEGA TERE BINA EK AUR SAAL………….”

Title: WO YAAD

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Bure waqt ne hifazat ki hai || hindi shayari

Chand mein baithkar subah ka intzaar karta hu
Thoda kal sochkar aaj izhaar karta hu
Jab bhi meri nadaniyon ne galti karne ki izazat di hai
Tab mere bure waqt ne bhi meri hifazat ki hai..

चांद में बैठकर सुबह का इंतज़ार करता हूं,
थोड़ा कल सोचकर आज इजहार करता हूं…
जब भी मेरी नादानियो ने गलती करने की इजाज़त दी है,
तब मेरे बुरे वक्त ने भी हमेशा मेरी हिफाज़त की है…

Title: Bure waqt ne hifazat ki hai || hindi shayari


Haseen itefaq || two line shayari || Hindi shayari

Kya haseen itefaq tha teri gali mein aane ka,
Kisi kaam se aaye the, kisi kaam ke nahi rahe…😊🥀

क्या हसीन इत्तेफ़ाक था तेरी गली में आने का,
किसी काम से आये थे, किसी काम के नहीं रहे…😊🥀

Title: Haseen itefaq || two line shayari || Hindi shayari