Skip to content

yaad-punjabi-love-status-shayari-images

  • by

Title: yaad-punjabi-love-status-shayari-images

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Hath to milaya kar || Hindi shayari

Khud ko itna bhi matt bachaya kar
Barishein ho to bheeg jaya kar
Chand lakar koi nahi dega
Apne chehre se jagmagaya kar
Dard heera hai dard moti hai
Dard ankhon se mat bahaya kar
Kaam le kuch haseen hontho se
Baaton baaton mein muskuraya kar
Kaun kehta hai dil milane ko
Kam se kam hath to milaya kar..😊

खुद को इतना भी मत बचाया कर,
बारिशें हो तो भीग जाया कर।
चाँद लाकर कोई नहीं देगा,
अपने चेहरे से जगमगाया कर।
दर्द हीरा है, दर्द मोती है,
दर्द आँखों से मत बहाया कर।
काम ले कुछ हसीन होंठो से,
बातों-बातों में मुस्कुराया कर
कौन कहता है दिल मिलाने को,
कम-से-कम हाथ तो मिलाया कर।😊

Title: Hath to milaya kar || Hindi shayari


Zindagi mje le rhi hai || sad but true hindi shayari

Sad hindi shayari || life hindi shayari || Jab nadan the to zindagi ke maze lete the....samajhdar huye to zindagi maze le rahi hai..
Jab nadan the to zindagi ke maze lete the….samajhdar huye to zindagi maze le rahi hai..