Skip to content

Zindagi rassi jesi

Rassi jesi Zindagi,

Tanne tanne halat hai

Ik sire pr khawise

Or duje pr aaukat hai

Title: Zindagi rassi jesi

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Achanak se gayab ho jauga main || yaad shayari

Achanak se gayab ho jauga main,
Khayalon mein chhupa hua hoon kahin.

Dil se juda, anjaan rahoon,
Yaadon mein basa hua hoon kahin.

Raat bhar chandni se roshan hokar,
Sitaron mein bikha hua hoon kahin.

Tere khwabon mein kho jauga main,
Aankhon mein basa hua hoon kahin.

Hawaon mein leharata hua,
Zindagi se juda hua hoon kahin.

Achanak se gayab ho jauga main,
Magar teri yaadon mein bana hua hoon kahin.

Title: Achanak se gayab ho jauga main || yaad shayari


Dil mein chupa kar rakhenge || love hindi shayari

Na smjho ke hum aapko bhula sakenge
Aap nhi jante ke dil mein chupa kar rakhenge😍
Dekh na le aapko koi hmari ankhon mein door se
Isliye hm palkein jhuka ke rakhenge 🙈

ना समझो कि हम आपको भुला सकेंगे,
आप नही जानते की दिल मे छुपा कर रखेंगे,😍
देख ना ले आपको कोई हमारी आँखों मे दूर से,
इसलिए हम पलके झुका के रखेंगे 🙈

Title: Dil mein chupa kar rakhenge || love hindi shayari