Yeh bhi mumkin hai hum mutawazi apne safar par chale
Aur ittefaq se milne par toot jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apne apne raaste bhatak jaaye
Aur aakhir mein jahan se ibtida kiye the waha mil jaaye
Yeh bhi mumkin hai ke tumhara paigam aa jaaye
Aur dil mil jaaye
Ye bhi mumkin hai ke anaa ki daud mein hum kho de ek dusre ko
Aur zindagi ke aakhri daur mein humara pyaar mukammal ho jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apni manzil par pahunch jaaye
Aur jannat ke darwaaze par ek dusre ko galay lagaye..
Kya itna waqt lagana zaroori tha
Ab toh akelapan pasand aane laga hai mughe
Kya itna badalna zaroori tha
Ab toh yeh badla sa lagne laga hai mughe..
Meri tasawwur dil lagi tumse bohat haseen hoti hai
Shuruat meri sharaarat se hoti hai aur
Khatam tumhari muskurahat pe hoti hai..
Meri aadat aur meri zaroorat bhi tum
Meri dawa aur meri dua bhi tum
Mera guzra aur aanewaala waqt bhi tum
Bewajah aasoon aur bewajah muskurana bhi tum..