Skip to content

Salmaan ahmed

Singer, guitarist, writer.. Have you been through a heartbreak? Its okay you are not alone. Love is the most powerful emotion. The writer inside us awakes and somehow the hand just takes the pen and you start writing like automatic writing. Honest poetry doesn’t say anything it just ticks off the possibities. Opens all doors. You can walk through anyone that suits you. So sharing my story into my poems hoping you decipher it from the limited ways you can see and feel.

Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Shukriyaa khuda ka zameen pe utara aapko aaj ke din
Chalo ek aur dafa manaaye yeh haseen din aapke bin
Muntazir toh iss tarah rehta hai pagla jaise dil milenge iss din
Apna bhool jaunga par nahi bhool paunga aapka janamdin..

Jab tum deewar par apna sar rakhti ho
Toh bahot khoobsurat lagti ho..
Phir jab tum muskura deti ho
Toh usse bhi jyada khoobsurat lagti ho..

Kehdo ki jab main tumhe din mein
Pehli dafa dekhta hoon
Toh mugh par nazar nahi rakhti
Kehdo ki jab main tumhari ore
Kadam badhata hoon
Toh tumhari dhadkan nahi badhti
Kehdo ki jab main tumhare
Roobaroo baithta hoon
Toh mere rukh ko itmenaan se nahi dekhti
Kehdo ki mere jaane ke baad
Tumne ek baar bhi meri
Kami mehsoos nahi ki
Ek aakhri baar meri kasam khaao aur
Kehdo ki har hafte tum meri
Shayari ka intezaar nahi karti..

Mukammal mohobbat || love hindi shayari

Agar upar wale ki raza na hoti
Hamari tumse mulaqat na hoti
Dekh liya tumhari muskurahat ko
Ab sirf tum tum aur tum jab tak
Mohabbat mukammal na hoti..

Pata nahi kya raaz hai uske chehre ka
Kho jata hoon bus inn nigaah-e-ulfat mein..

Nazar andaaz bhi karna hai aur nazar bhi rakhna hai
Jawaab bhi nahi dena aur kalaam bhi padhna hai
Zubaan pe inkar aur dil mein ikrar rakhna hai
Khairiyat nahi poochni phir bhi khabar rakhna hai
Faisla bhi lena hai aur mere jazbaat ka khayal bhi karna hai
Dil tootne ke baad mera haal bhi gaur karna hai
Bus yahin kuch aadatein aapki pasand hai mujhko..

Meri shikayatein agar mohabbat ki adaalat tak le jaye
Toh main pehli hi tareekh mein muqadma jeet jaun..

Ek khud pasand aashiq
Aur ek usulon wali mehbooba
Dono kaafi hai sukoon tabaah karne ke liye..

Ehtiraam : respect || love shayari

Yeh bhi mumkin hai hum mutawazi apne safar par chale
Aur ittefaq se milne par toot jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apne apne raaste bhatak jaaye
Aur aakhir mein jahan se ibtida kiye the waha mil jaaye
Yeh bhi mumkin hai ke tumhara paigam aa jaaye
Aur dil mil jaaye
Ye bhi mumkin hai ke anaa ki daud mein hum kho de ek dusre ko
Aur zindagi ke aakhri daur mein humara pyaar mukammal ho jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apni manzil par pahunch jaaye
Aur jannat ke darwaaze par ek dusre ko galay lagaye..

Kya itna waqt lagana zaroori tha
Ab toh akelapan pasand aane laga hai mughe
Kya itna badalna zaroori tha
Ab toh yeh badla sa lagne laga hai mughe..

Meri tasawwur dil lagi tumse bohat haseen hoti hai
Shuruat meri sharaarat se hoti hai aur
Khatam tumhari muskurahat pe hoti hai..

Meri aadat aur meri zaroorat bhi tum
Meri dawa aur meri dua bhi tum
Mera guzra aur aanewaala waqt bhi tum
Bewajah aasoon aur bewajah muskurana bhi tum..

Khalwat-e-intezaar : seclusion of waiting

Tumhari mohabbat bohat ajeeb aur gehri hai
Meri mohabbat bohat pagali aur sachhi hai..

Mere paas tumhare sath koi tasveer nahi toh kya hua
Hamare haseen ishaaro ko shayari mein qaid kar liya..

Kisi ko paane ki chahat mein apni poori
Shakhsiyat badal dena bhi ishq hai..
Kisi ke liye saari umar muntazir rehne ki
Taiyaari karna bhi ishq hai..

Agar tum meri hokar bhi
Main tumhare sath dusri jagah hoon
Toh samajh lena kho diya hai tumne mughe..

Mera khauf bhi tum
Meri khata bhi tum
Meri maafi bhi tum
Meri saza bhi tum..

Akela hoon ya mehfil mein tumhara har pal
Dahine ore se mughe dekhna bhi ishq hai..
Be intehaan dafa aayine ke muqabil
Izhaar-e-ishq karna bhi ishq hai..

Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari

Likha jo sach kaagaz par
Shayari bann gayi
Pyaar jo kiya chehra dekh kar
Mohabbat bann gayi
Dua jo maangi tumhari khairiyat ki
Ibaadat bann gayi
Nasha jo kiya tumhari yaad mein
Aadat bann gayi
Sangeet jo seekha tumhe lubhane ki khaatir
Manzil bann gayi
Ikraar karke meri jhooti muskurahat
Hasi bann gayi..

Jab tum apni badi badi aankhon se mughe dekhti ho
Tumhari aankhein zubaan bann jaati hai
Jab tum mera naam pukarti ho
Toh lagta hai ikraar-e-mohabbat hai
Jab tum masoom sawaal poochhti ho
Toh itna saaf iraada maine kahi nahi dekha
Jab tum mere sawaal poochhne ka intezaar karti ho
Tumhare jawaab mein ek rishta banane ki betaabi si hoti hai..

Laparwah aashiq se
Shayar tak ka mera safar
bahot khoobsurat tha
Aankh se aansu nikalkar
Kalam mein siyahi bankar
Kaagaz pe utarta tha..
Kaash tumne dekha hota
Pyaar ho jata phir se..

Salmaan ahmed

Singer, guitarist, writer.. Have you been through a heartbreak? Its okay you are not alone. Love is the most powerful emotion. The writer inside us awakes and somehow the hand just takes the pen and you start writing like automatic writing. Honest poetry doesn’t say anything it just ticks off the possibities. Opens all doors. You can walk through anyone that suits you. So sharing my story into my poems hoping you decipher it from the limited ways you can see and feel.