Skip to content
Motivational shayari | Aive gairaan piche bhajh, na eh zindagi barbaad kar bandeyaa, tu apne andron apne aap di talaash kar

Aive gairaan piche bhajh, na eh zindagi barbaad kar
bandeyaa, tu apne andron apne aap di talaash kar


Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Khafaa hona jaroori hai…

Yun toh aap humse kabhi khafaa honge nai,

Par is mohobbat me kabhi kabhi khafaa hona acha hai…

Do jism, ek jaan or ye pyaar jab sacha hai,

Toh is mohobbat me kabhi kabhi khafaa hona kaafi acha hai…

Title: Khafaa hona jaroori hai…


Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari

Likha jo sach kaagaz par
Shayari bann gayi
Pyaar jo kiya chehra dekh kar
Mohabbat bann gayi
Dua jo maangi tumhari khairiyat ki
Ibaadat bann gayi
Nasha jo kiya tumhari yaad mein
Aadat bann gayi
Sangeet jo seekha tumhe lubhane ki khaatir
Manzil bann gayi
Ikraar karke meri jhooti muskurahat
Hasi bann gayi..

Jab tum apni badi badi aankhon se mughe dekhti ho
Tumhari aankhein zubaan bann jaati hai
Jab tum mera naam pukarti ho
Toh lagta hai ikraar-e-mohabbat hai
Jab tum masoom sawaal poochhti ho
Toh itna saaf iraada maine kahi nahi dekha
Jab tum mere sawaal poochhne ka intezaar karti ho
Tumhare jawaab mein ek rishta banane ki betaabi si hoti hai..

Laparwah aashiq se
Shayar tak ka mera safar
bahot khoobsurat tha
Aankh se aansu nikalkar
Kalam mein siyahi bankar
Kaagaz pe utarta tha..
Kaash tumne dekha hota
Pyaar ho jata phir se..

Title: Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari