Skip to content

Aansu chupakar hasna || sad hindi shayari

Aansu chupakar hasne ka tareeka dhund liya humne
Chup rehkar khush rehkar jeena sikh liya humne
Had hai logo ki ab bhi picha nhi chodte
Ab to mar mar kar jeena seekh liya humne
Aansu chupakar hasne ka tareeka dhund liya humne

आंसू छुपाकर हसने का तरीका डूंड लिया हमने
चुप रहकर खुस रहकर जीना सीख लिया हमने
हद है लोगो की अब भी पीछा नहीं छोड़ते
अब तो मर मर कर जीना सीख लिया हमने
आंसू छुपाकर हसने का तरीका डूंड लिया हमने…

Title: Aansu chupakar hasna || sad hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Zindagi shayari || hindi shayari

Shaam ek umar ki trah, dheere dheere dhal rahi hai
Kehne ko to khas nhi, zindagi fir bhi chal rahi hai
Behtreen lamho ko yaad kar, gamo ko bhulane ki chaht mein
Aaj ke din ko aur khatam kar, raat bhi nikal rahi hai…

शाम एक उर्म की तरह, धीरे धीरे ढल रही है..
कहने को तो खास नहीं, जिंदगी फिर भी चल रही है..
बेहतरीन लम्हों को याद कर, गमों को भुलाने की चाहत में..
आज के दिन को और खत्म कर, रात भी निकल रही है….

Title: Zindagi shayari || hindi shayari


Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari

Likha jo sach kaagaz par
Shayari bann gayi
Pyaar jo kiya chehra dekh kar
Mohabbat bann gayi
Dua jo maangi tumhari khairiyat ki
Ibaadat bann gayi
Nasha jo kiya tumhari yaad mein
Aadat bann gayi
Sangeet jo seekha tumhe lubhane ki khaatir
Manzil bann gayi
Ikraar karke meri jhooti muskurahat
Hasi bann gayi..

Jab tum apni badi badi aankhon se mughe dekhti ho
Tumhari aankhein zubaan bann jaati hai
Jab tum mera naam pukarti ho
Toh lagta hai ikraar-e-mohabbat hai
Jab tum masoom sawaal poochhti ho
Toh itna saaf iraada maine kahi nahi dekha
Jab tum mere sawaal poochhne ka intezaar karti ho
Tumhare jawaab mein ek rishta banane ki betaabi si hoti hai..

Laparwah aashiq se
Shayar tak ka mera safar
bahot khoobsurat tha
Aankh se aansu nikalkar
Kalam mein siyahi bankar
Kaagaz pe utarta tha..
Kaash tumne dekha hota
Pyaar ho jata phir se..

Title: Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari