Skip to content

AASHQ HUN ME MUJHE AASHQ HI REHNE DO

आशक़ हूं मै, मुझे आशक़ ही रहने दो
गमों के अंधेरों से, हे मेरा रिश्ता गहरा
खुशियों के उजालों में, मत धकेलो
आशक़ हूं मै, मुझे आशक़ ही रहने दो

मक्के का काबा, एक बेजान दिवार है
इस दुनिया की हज में, मत सड़ने दो
उस खुदा की कुरान में, मेरे यार का बयान हे
मुझे यार की नमाज़ को, पड़ने दो
आशक़ हूं मै, मुझे आशक़ ही रहने दो

यह ज़िन्दगी इक मौत है,
मुझे दिलदार के प्यार में जीने दो
इस शराब में वोह नशा कहाँ
मुझे यार का नशा करने दो
आशक़ हूं मै, मुझे आशक़ ही रहने दो

गुलाबों की मेहकों में, वोह दम कहाँ
यार की सुगंद में, मुझे बहकने दो
नीले #गगन को, अब काली रात है पियारी
उस पे अश्कों की बूंदो को, चमकने दो
आशक़ हूं मै, मुझे आशक़ ही रहने दो। ….

Hindi Shayari, Hindi Sad Poetry:

Aashq hu me, mujhe aashq hi rehne do
gamon ke andheron se, he mera rishta gehra
khusiyon ke uzalon me, mat dhakelo
aashq hu me, mujhe aashq hi rehne do

Makke ka kaba, ek bejan diwar hai
is duniyi ki hazz me, mat sarrhne do
us khuda ki kuraan me, mere yaar ka byan hai
mujhe yaar ki namaaz ko, padhne do
aashq hu me, mujhe aashq hi rehnde do

yeh zindagi ek maut hai,
mujhe dildaar ke pyar me jeene do
is sharab me voh nasha kahaan
mujhe yaar ka nasha karne do
aashq hu me, mujhe aashq hi rehne do

gulaabon ki mehkon me, woh dam kahan
yaar ki sugand me, mujhe behkne do
neele #Gagan ko, abh kali raat hai pyari
us pe ashqon ki boondon ko, chamakne do
aashq hu me, mujhe aashq hi rehne do

Title: AASHQ HUN ME MUJHE AASHQ HI REHNE DO

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Jaroori hai || Hindi shayari

Haan hr baar byan nahi hoti chizein,
Kbhi kbhi dil mei chupakr rkhna b jruri hai..
Haan koshish ki jaye to ho skta hai,
Kuch apno se fasla bnakr rkhna bhi jruri hai..
Zindgi bhr ka sath dena, Vada krte hain, kehna jruri nahi,
Par bin kahe aakr sath nibhana to ho skta hai..
Haan shayad tumhe namnjoor hi sahi,
Par kbhi kbhi apna kehne wale ko gale lgana bhi jruri hai..
Tmaam zindgiyan yhan, Chan Minto m khtm ho jati hai,
Maut to aygi hi ,Par maut tk ka safar agr teh kr jao,
To ye zindgi bitana ik hasrat sa hai..
Haan baatein meri bhle achi na lge,
Sach to hai yahi……is duniya mei,
Jise chaho usse rulana bhi jruri hai..
Beintehaan na sahi bhale thoda hi hai, Aitbaar to kro kisi par ,Haan thoda dr lgega ,
Par kisi gair ko apna kissa sunana bhi jruri hai..
Jruri hai ..

Title: Jaroori hai || Hindi shayari


Lamhe aaj kal ke || hindi shayari

Mom se hain gir rahe armaan yun pighal ke
Angaro mein sulagh rahi kuch aag halke halke
Mausam badal rahe palkein bhiga rahe hain
Kuch lamhe beete kal ke kuch lamhe aaj kal ke

मोम से हैं गिर रहे अरमां यूं पिघल के 
अंगारों में सुलग रही कुछ आग हल्के हल्के 
मौसम बदल रहे पलकें भीगा रहे हैं  
कुछ लम्हे बीते कल के कुछ लम्हे आज कल के

Title: Lamhe aaj kal ke || hindi shayari