zindagee ne aaj kah diya hai mujhe,
kisee aur se pyaar hai,
meree maut se poochho,
ab use kis baat ka intazaar hai…
ज़िन्दगी ने आज कह दिया है मुझे,
किसी और से प्यार है,
मेरी मौत से पूछो,
अब उसे किस बात का इंतज़ार है…
Ghadi ki tarha chalte ho tum hamare dimagh mein,
Tumko Yaad karne ki wajah nahi hoti.
Hawa ki tarah jhoomte ho tum hamare khayalon mein,
Tumko bhulane ki koshish nahi horahi.
Hazar wajah mil gaye tumse dur jane ki,
Hazar wajah mil gaye tumse dur jane ki
Maan kar isey khudrath ka faisla chale bhi gaye hum dur,
Kambakht kismat phir se paas le aayi.
Zid hamari bhi hai ke hojayenge tumse dur,
Kyun ki tumhare pyar mein wo pehle jaisi kashish nahi rahi.