Skip to content

Agar Tu Mili Na Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Zindagi Kitni Haseen Hoti

Tu Saath Hoti !

Per Zindagi Aur Haseen Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Ye Roz Roz Khud Se Sawal Na Hote !

Ye Hari Bhari Zindagi Mein Kisi Ki Kami Khali Na Hoti 

Agar Tu Mili Na Hoti…!

Wahi Awara Man Chale Ladke Hote Hum !

Duniya ke Dour-Bhag se Thakk Ke Lout Ke

Chain Se Maa Ki Godd mein Sote Hum ❤️

Kisi Chij Ki parwaah Nahin Hoti 

Shaamon Mein Cigarette Jali Nahin Hoti 

Nashon Ki Latt Lagi Naa Hoti 

Uzaalo See Darta Nahin Dil Mera 

Bheed Ko Dekh Ke Bechaini Macchi Nahin Hoti !

Sab Sawal Ek Taraf 23 Ki Umar mein Ummar Se Phele Chehre Pe Baraf Uggi Nahin Hoti 

Hum Bhi Auron Ki Tarah Dil Se Haste 

Agar Tu Mili Nahi Hoti.

Title: Agar Tu Mili Na Hoti

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


AAnsu hindi shayari sad

Kambakht yeh aankhe
aansuaa ka wajan nahi uthaa paa rahe hai aur
ye gile takiye roj hi sawere sookh jaate hai

कम्बख्त ये आंखे ,
आंसुओ का वजन नहि उठा पा रहिन हैं! ओर
ये गिले तकिये रोज़ हि सवरे सुख जाते हैं!!

Title: AAnsu hindi shayari sad


Ek rishta pyaar ka || rishta shayari

Rishta ho pyaar ka,ya nafrat ka

Rishta ho dard ka,ya ho mohabbat ka

Rishta toh hamesha rehta hai khaas

Chahe kitna bhi dur ho ya paas

Jaane waale to chale jaate hain

Todne waale toh Tod dete hain

Lekin jo aakhir main reh jaata hai woh hai rishta.pyaar ka rishta,dil ka rishta.

Jaruri nahi rishtey ka koi naam ho

Ya Koi daam ho

Bas ho bedaag,maasum aur pyaara

Hamaare jeene ka sahara

Jo rahe dil ki dhadkan main

Yeh dikhne wala cheez nahi yeh toh logon ko jodta hai atoot bandhan main

Title: Ek rishta pyaar ka || rishta shayari