Skip to content

d6804b6466ef115ae97a63b04edbabc4_d6804b6466ef115ae97a63b04edbabc4_default

  • by

Title: d6804b6466ef115ae97a63b04edbabc4_d6804b6466ef115ae97a63b04edbabc4_default

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Bichadna yaad aata hai..

College ki seedhi per khade ho kar Kuch logo ke sath guftagu karna yaad aata hai,

Mujhe zindagi ke her palat’te panne ke sath,

Dosto se bichadna yaad aata hai…

Guzar raha hai waqt un parchaiyo’n ke sath,

Jinme the kuch yaar hatho me daale hath,

Na main hun ab na wo reh gaye hain wahi,

Per lamho me hain qaid wo mere kahin na kahin,

Kabhi khali se waqt me ho bhi jati hai baat,

Warna raftaar ki is duniya me koun rakhta hai ab yaad,

Jo mil jaye tumhe wo dour kahi to jaane na tum dena,

Na ayega wo lout ke is baat ko meri maan lena,

Aj bhi her mod her rasta mujhe unki yaad dilata hai,

Jin per hum sath the aur phir waqt tham sa jata hai,

Us mod per khadi hun jis rah tum mude the,

Yaar mere tu yaad kar, kabhi hum tum bhi jude the !!

Title: Bichadna yaad aata hai..


Milne koi toh har || true lines hindi

Milne Koi Toh Har Shakhs Ehtraam Se Mila,
Par Jo Mila Kisi Na Kisi Kaam Se Mila.
मिलने को तो हर शख्स एहतराम से मिला,
पर जो मिला किसी न किसी काम से मिला।

Title: Milne koi toh har || true lines hindi