Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Joh Mera Hissa Woh || Tanhai
Joh Mera Hissa Woh Apne Saath Liye Phirte Hain,
Ussey Woh Apna Mukammal Jahan Karte Hain,
Yuh Toh Mujhse Mujhiko Churake Mujhe Tanha Kar Jaate Hain…
Khushnaseeb Hain Woh Jinse Woh Mera Hissa Baata Karte Hain,
Yuh Toh Phir Mukammal Apna Jahan Karte Hain,
Ki Mujhse Mujhiko Chukrake Mujhe Tanha Kar Jaate Hain…
Tanhai Ke Iss Daur Mein Kaun Kiska Hissa Sahi ?
Mohabbat Ki Justaju Mein, Kabhi Raanjha Roya Kabhi Heer Kahi,
Dard-E-Ashique Ka Ghut Pi, Dobara Mohabbat Karne Chale,
Dobara Iss Raah Mein Khudko Barbaad Karne Chale…
Title: Joh Mera Hissa Woh || Tanhai
Ek baat bolni THi ||hindi love shayari
Ek baat bolni thi ,
Bol du kyaaa….🤔
Apna naam tere naam ke saath jodna tha ,
Jod du kyaaa….🙈
Yu to Ishq ki hawa kabhi chali nahi hai meri zindagi mein ,
Magar aj soch rha hoon ,
Hawaoo ka rukh mod du kyaa….😇😍
एक बात बोलनी थी
बोल दूँ क्या…🤔
अपना नाम तेरे नाम के साथ जोड़ना था
जोड़ दूँ क्या…🙈
यूँ तो इश्क़ की हवा कभी चली नही है मेरी ज़िंदगी में
मगर आज सोच रहा हूँ
हवाओं का रुख मोड़ दूँ क्या…😇😍

