Skip to content

Alfaaz satya ke

Tere aane ki khushi likhi hai meine

Tere hone ka ahesaas likha hai

Teri har baat ka jawaab likha hai meine

Shuru se anth tak tere saath rahene ka ek khubsurat safar likha hain

Teri julfo ka vo savaarna likha hai meine

Teri har aada ka ijhaar likha hai meine

Tere saath rahena likha hai meine

Tera meri zindagi mei hona hi kimti hain isliye rab se koi fariyaad nhi likhi hai meine……

Title: Alfaaz satya ke

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


pyaar mein mere sabr || Hindi 2 lines sad status

pyaar mein mere sabr ka imtehaan to dekho,
vo meree hee baanhon mein so gae kisee aur ke lie rote rote…

प्यार में मेरे सब्र का इम्तेहान तो देखो,
वो मेरी ही बाँहों में सो गए किसी और के लिए रोते रोते…

Title: pyaar mein mere sabr || Hindi 2 lines sad status


Bichadna yaad aata hai..

College ki seedhi per khade ho kar Kuch logo ke sath guftagu karna yaad aata hai,

Mujhe zindagi ke her palat’te panne ke sath,

Dosto se bichadna yaad aata hai…

Guzar raha hai waqt un parchaiyo’n ke sath,

Jinme the kuch yaar hatho me daale hath,

Na main hun ab na wo reh gaye hain wahi,

Per lamho me hain qaid wo mere kahin na kahin,

Kabhi khali se waqt me ho bhi jati hai baat,

Warna raftaar ki is duniya me koun rakhta hai ab yaad,

Jo mil jaye tumhe wo dour kahi to jaane na tum dena,

Na ayega wo lout ke is baat ko meri maan lena,

Aj bhi her mod her rasta mujhe unki yaad dilata hai,

Jin per hum sath the aur phir waqt tham sa jata hai,

Us mod per khadi hun jis rah tum mude the,

Yaar mere tu yaad kar, kabhi hum tum bhi jude the !!

Title: Bichadna yaad aata hai..