Skip to content

Ateet mera (My Past) || sad shayari

Aaj k hisab se Mai behne lgi hu pehle chup thi ab sab kehne lagi hu…
Tumhari har baat mene gor se suni hai or usi baat ka jabab Mai dene lgi hu….
Tum kehte ho ma baap ki ijjat gawai hai
Tum btao tumne Kon si ijjat kamai hai…
Ladki k piche Ghar chhodna asan hai,
Muje btana tumne Kon c Manjii paayi hai….
Milna bichadna kismat ki baat hai
Tum btao tumne Kon sa kismat bnayi hai.
Chahti toh likhti Tumhari har us khata ko
Jo tumne meri jindagi mere ateet se uthayi hai…
Kis tarah tum khudh ko insaan kehte ho batao tumne Kon c insaniyat nibhai hai…
Mushkilo se bhagna tumne bachpan se sikha hai mene Ab b bachpan se mushkile hi paayi hai….
Meri galatiyo ko tum apni nafrat Mai batate ho
Batao apni tumne Kon c galatiyan batayi hai….
Ateet ka kissa koi Yun hi nahi sunata hai
Dil apna kehta hai fir bhrosa jatata hai…

Mene logon ko Dil Mai jagah bahot di lekin in logon n hamesha apni okat hi batayi hai…
Sacha pyar kehte ho tum Apne kiye pyar ko
Fir kyun aaj mere Pyaar ki numaish lgayi h….
Mana k ateet Mera andhere SE bhi kala hai

Magar
Tum bolo
Tumhara Kon sa yaad rakhne Wala hai…

Shyna

Title: Ateet mera (My Past) || sad shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Tajmahal || hindi shayari || love shayari

Ishq mamooli cheez to nhi
har koi is aag me jala hai
kuch to baat hai mohabbat mein
isliye to ek lash ki yaad mein tajmahal khada hai🙌

इश्क़ मामूली चीज़ तो नहीं
हर कोई इस आग में जला है
कुछ तो बात है मोहोब्बत में
इसीलिए तो एक लाश की याद में ताजमहल खड़ा है🙌

Title: Tajmahal || hindi shayari || love shayari


Deewane hain hum khud ke || love hindi shayari || best shayari

Deewane hain hum khud ke
Kyunki deewane tere kehlate hain..!!

दीवाने हैं हम खुद के
क्योंकि दीवाने तेरे कहलाते हैं..!!

Title: Deewane hain hum khud ke || love hindi shayari || best shayari