
ab to dard bhi nahi mere alfaazo me
tu taaro se poochti hai haal mera
arey woh bhi ro padtey hai mere halaato pe

Tod diye the tune jo mere sare vapis mujhe khuab to de
Teri wafa par uthe hain aaj sawal ab jwaab to de
Yun dekh kar nazre churane se to kuch na hoga
Tere juda hone ke gam mein bitayi hai kitni raatein zara hisaab to de..🙃
तोड़ दिए थे तूने जो मेरे सारे वापिस मुझे मेरे ख्वाब तो दे
तेरी वफा पर उठे है आज सवाल अब जवाब तो दे
यू देख कर नजरे चुराने से तो कुछ न होगा
तेरे जुदा होने के गम में बिताई है कितनी राते जरा हिसाब तो दे..🙃
Irada na tha mera door jane ka
Gairon se fariyaad na kar mere laut aane ka
Mohobbat ke lamhe bhool nhi sakte
Koi to esa zariya hota yaadon ko bhool jane ka…
इरादा न था मेरा दुर जाने का
गैरो से फ़रियाद न कर मेरे लौट आने का ।
मोहब्बत के लम्हे भूल नही सकते
कोई तो ऐसा जरिया होता यादो को भूल जाने का ।।