Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Aapki nazar ||hindi shayari || love shayari
Apni nazro se kaho esi nazro se na dekhe muje😍
Nazar uthti nhi meri nazro se takrane ke baad👀
Bhut sambhala hai dil hi to hai❤
Kahi machal na jaye nazar milane ke baad🙈
अपनी नज़रों से कहो ऐसी नज़रों से ना देखें मुझे😍
नज़र उठती नहीं मेरी नज़रों से टकराने के बाद👀
बहुत संभाला है दिल ही तो है❤
कहीं मचल ना जाये नज़र मिलाने के बाद🙈
Title: Aapki nazar ||hindi shayari || love shayari
Mujhe dar lagta hai || Sad and love shayaru
Mujhe dar lagta hai jab jab tu mera haath pakadta hai kyunki mujhe pata hai ye kabhi chutega to hi.
Mujhe dar lagta hai jab jab tum mujhe mehfooz nigahon se dekhte ho kyunki mujhe pata hai ye nigahen kabhi phirengi to hi.
Mujhe dar lagta hai jab jab tu mujhe apni baahon mein qaid kar leta hai kyunki mujhe pata hai tu kabhi inse riha karega to hi.
Mujhe dar lagata hai jab jab tu mujhe apna ehsas dilata hai kyunki mujhe pata hai ye ehsas aage maujud hoga nahi.
Mujhe dar lagta hai jab jab mere qareeb aata hai kyunki mujhe pata hai tu dur kabhi na kabhi to hoga hi.
Mujhe dar lagta hai teri inn baton se kyunki mujhe pata hai ye baatein aage kabhi hogi ni.
Mujhe dar lagta hai jab jab tu mujhse milta hai kyunki mujhe pata hai tere ye milne se aage mohtajgi hogi hi.
Mujhe dar lagta hai tere har waqt ke saath se kyunki mujhe pata hai ye saath akhir ek na ek din tutega hi.

