Skip to content

Bewafai ka ilzaam || sad hindi shayari

Kismat ye mera imtehaan le rahi hai
Tadap kar yeh mujhe dard de Rahi hai
Dil se kabhi bhi mene use door nhi kiya
Fir kyu bewafai Ka veh ilzaam de Rahi hai

किस्मत यह मेरा इम्तेहान ले रही है
तड़प कर यह मुझे दर्द दे रही है
दिल से कभी भी मैंने उसे दूर नहीं किया
फिर क्यों बेवफाई का वह इलज़ाम दे रही है

Title: Bewafai ka ilzaam || sad hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Mein nahi kahunga || hindi shayari

Mein nhi kahunga ke tu har dam mere sath khada rahe
Par jab gir jau kahi safar mein
To hath thaam le mera, bas itni guzarish karunga..
Mein nahi kahunga ke tu margdarshan bna rahe ta umar mera
Par jab karna pade chunav zindagi mein
To apni kadvi slah ka thoda sa Itr mujh par chidak dena..
To ho sakta hai kayi saal nikal jaye aur tujhse mulakat bhi na ho
Par jab awaz doon tujhe musibat k sme
Tu dhaal ban jaye mera, mein bas bhagwan se yahi ardaas har baar karunga❤️

मैं नहीं कहूँगा कि तू हर दम मेरे साथ खङा रहे।
पर जब गिर जाऊँ कही सफर में
तो हाथ थाम ले मेरा ,बस इतनी गुजारिश करूँगा।
मैं नहीं कहूँगा कि तू  मार्गदर्शक बना रहे ताउम्र मेरा।
पर जब करना पङे चुनाव जिदंगी में
तो अपनी कङवी सलाह का थोङा सा इत्र मुझ पर छिङक देना।
हो सकता है कई साल निकल जाए और तुझसे मुलाकात भी ना हो।
पर जब आवाज़ दूँ तुझे मुसीबत के समय
तू ढाल बन जाए मेरा, मैं बस भगवान से यहीं अरदास हर बार करूँगा❤️

Title: Mein nahi kahunga || hindi shayari


aaj Bhi kisi ke pal pal ki khabar || hindi love shayari

Hindi love shayari || sad hindi shayari