Skip to content

bhulawa kive

  • by

2 lines sad || Bhulawa kive me oh din jadon takeya c tu mainu pehli vaar

Title: bhulawa kive

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Teri qurbat || Shayari from heart in hindi

Jaane kaise wo pal itne ruhaaniyat bangaye

woh lamhe toh teri qurbat ke sabab bangaye

sambhalna mushkil sa raha tere jaane ke baad ,

hum toh mariz the teri mohabbat ke ab toh deewaane bangaye.

जाने कैसे वो पल इतने रुहानियत बनगए

वोह लम्हे तोह तेरी क़ुरबत के सबब बनगए

संभालना मुश्किल सा रहा तेरे जाने के बाद ,
हम तो मरीज़ थे तेरी मोहब्बत के अब तोह दीवाने बनगए.
                                          
                                          -Ahiban
 

Title: Teri qurbat || Shayari from heart in hindi


Ehtiraam : respect || love shayari

Yeh bhi mumkin hai hum mutawazi apne safar par chale
Aur ittefaq se milne par toot jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apne apne raaste bhatak jaaye
Aur aakhir mein jahan se ibtida kiye the waha mil jaaye
Yeh bhi mumkin hai ke tumhara paigam aa jaaye
Aur dil mil jaaye
Ye bhi mumkin hai ke anaa ki daud mein hum kho de ek dusre ko
Aur zindagi ke aakhri daur mein humara pyaar mukammal ho jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apni manzil par pahunch jaaye
Aur jannat ke darwaaze par ek dusre ko galay lagaye..

Kya itna waqt lagana zaroori tha
Ab toh akelapan pasand aane laga hai mughe
Kya itna badalna zaroori tha
Ab toh yeh badla sa lagne laga hai mughe..

Meri tasawwur dil lagi tumse bohat haseen hoti hai
Shuruat meri sharaarat se hoti hai aur
Khatam tumhari muskurahat pe hoti hai..

Meri aadat aur meri zaroorat bhi tum
Meri dawa aur meri dua bhi tum
Mera guzra aur aanewaala waqt bhi tum
Bewajah aasoon aur bewajah muskurana bhi tum..

Title: Ehtiraam : respect || love shayari