Skip to content

Snapchat-539572937

Title: Snapchat-539572937

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Keemat Aur Barhti || hindi 2 lines

Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।

Title: Keemat Aur Barhti || hindi 2 lines


Burq tujhe shayari bna diya

Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise

Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise

_________________________________

Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya

Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya

Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya

_________________________________

Title: Burq tujhe shayari bna diya