Skip to content

dard kee deevaar || Sad alone hindi shayari

dard kee deevaar par phariyaad likha karate hain,
har raat tanhaee ko aabaad kiya karate hai…

दर्द की दीवार पर फरियाद लिखा करते हैं,
हर रात तन्हाई को आबाद किया करते है…

Title: dard kee deevaar || Sad alone hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Teri har saans ko || love shayari || hindi shayari

Teri har saans ko apne dil me basa lunga
Tu meri ho to sahi 
Me apne aap ko teri mang ka sindur bana luga🙈

तेरी हर सांस को अपने दिल में बसा लूंगा
तू मेरी हो तो सही
मैं अपने आप को तेरी मांग का सिंदूर बना लूंगा🙈 

Title: Teri har saans ko || love shayari || hindi shayari


kadwe shabad

shabad the zubaan tak dil tha bhara bhara
mann m yun takraar thi shbad the khafa khafa….

kisi k shabad yun lage k dil m shor ho gya
phir ek aur saans li aur dil p zor kar dia…

khud se mene baat ki phir mann ko theek kar dia
ek aur shabad ne sab phir se nasht kar dia

shabdo ki takraar m khud ko mene kho dia
jo dusre ne keh diya haske phir se man lia

kyun bolne se pehle shabad khud ko tolte nahi
na jane kitno k dil ko yun hi todte nhi

shabad ek khel hai jo dilo ka ek mel hai
soch aur samajh k bola shabad ek prem hai

kyun shabd aur dil ki daud m shabd jeet jaate hai
pr kya karen ye shabad apna faraz hi nibhate hai

pyaar k do shabad meethe tu bhi phir se bol de
kya pta jo tute rishte phir se tu yun jod le

ye shabdo ka janjaal hai jo na kehna kya kamaal hai
jo teer is se lag gya wo phir se lautta nahi

aaj hi se shabdo ka chunaav pyar se karo
yun hi rishte dur ho iska vichar phir karo

samajh gye abhi se jo to zindagi m gum nahi
sabhi fasaad ki hai jad jo shabad hi sahi nahi

shukriya sabhi ka haijo kimti samay diya
padh k meri shayari mujhe aur bal hai mila

Title: kadwe shabad