Bhatakta hua musafir hoon yaara
Dar badar phir raha hoon haalat ka maara
Main bekhabar aur besahara
Chala hoon apni taqdeer likhne
Adhuri kahani ko Puri karne
Khud ki manzil ka toh pata nahi raah sab ko dikhata hoon
Apne rashte main gumrah hoon dusron ki chah puri karta hoon
Apne liye awara hoon,dusre ke liye aankh ka tara hoon
Afsos tune ne na samjha mere dil ko
Main tere liye Aaj bhi dil haara hoon
Kayi chand dekhe hain kayi sitare dekhe hain
Lehron se bheege samandar ke kayi kinare dekhe hain
Aansuon mein behkar ishq sametne ka waqt bhi aaya
Mene barish mein bheege dilon ke jalte kayi nazare dekhe hain…🔥🙃
कई चाँद देखे हैं कई सितारे देखे हैं,
लहरों से भीगे समंदर के कई किनारे देखे हैं,
आँसुओ में बहकर इश्क समेटने का वक्त भी आया,
मैंने बारिश में भीगे दिलो के जलते कई नज़ारे देखे हैं…🔥🙃