Skip to content

Ek shayar ki mohobatt || dukhi shayari

कभी कभी सोचता हूँ क्या होती होगी एक शायर की मोहब्बत,
दिल जुड़ने पर प्यार भरे शेर,
दिल टूटे पर दुख भरे शेर,
उसकी याद मैं लिखे गए शेर,
और उसकी वापसी आने की उम्मीद मैं लिखे गए शेर |

Title: Ek shayar ki mohobatt || dukhi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Haseen ehsaas || hindi shayari || love shayari

Lehje mai teri yeh baat hai…
Jaise koi suhani barsat hai…
Tere tarike ke kayal hai sada…
Yeh kya haseen ehsas hai…❤️

लहजे में तेरी यह बात है…
जैसे कोई सुहानी बरसात है…
तेरे तरीके के कायल है सदा
यह क्या हसीन एहसास है…❤️

Title: Haseen ehsaas || hindi shayari || love shayari


Zindagi puri ho toh gai hai || hindi shayari

Adhi raat k andhre mai kuch lamhe likh rahi hu
Esa lgta hai Zindagi puri ho toh gai hai.

Raat bhar jaag kar bhi Nind ki
nishani nhi milti,
Tumhe bta du k mujhme khwaishen so toh rahi hai.

Ye andhre se gehri raat or taaron se bhara aasma,
Tum dekho na jra gor se
roshni ho toh rahi hai.

Mere ander rota h shyd mera naseeb bhi bethkar,
Tum dekho n aankhen meri ro toh rahi hai.
Kbhi zindagi ki fikr kbhi mout ka khouf hai,
Meri choti si zindagi m sab kismat ka hi dosh hai.
Log kehte h kismat lakeeron m hoti h,
Ye dekho Hatheliyan meri lakeeron se puri toh bhari h.

Is Andheri c raat mai gamm bahot drate hai,
Par Allah ki bandi dekh subha ho toh rahi hai.
Duaa meri kbhi sune khudha mai mannat ki dor baandh detii hu
Mile nizaat tere gamm se is aas m murshad
Tere khatir vo khudh se roj lad toh rahi hai….

Title: Zindagi puri ho toh gai hai || hindi shayari