Skip to content

Gam zindagi mein || sad hindi shayari

Teri ankhon ka zikar jo mein, apne dil se na karta
Aaj bhi khush hi hota, mein jeene se na darta
Vese to gam zindagi mein, aur bhi likhe hain meri
Kishte kayi aur bhi hai, tere pyar ki udhaari ka vyaj to na bharta…

तेरी आँखों का जिक्र जो मैं, अपने दिल से ना करता..
आज भी खुश ही होता, मैं जीने से ना डरता..
वैसे तो गम जिंदगी में, और भी लिखे हैं मेरी..
किश्तें कई और भी हैं, तेरे प्यार की उधारी का व्याज तो न भरता….

Title: Gam zindagi mein || sad hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


bsaa le nazar me soorat || Love Hindi Shayari

बसा ले नज़र में सूरत तुम्हारी,
दिन रात इसी पर हम मरते रहें,
खुदा करे जब तक चले ये साँसे हमारी,
हम बस तुमसे ही प्यार करते रहें ॥

Title: bsaa le nazar me soorat || Love Hindi Shayari


Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Shukriyaa khuda ka zameen pe utara aapko aaj ke din
Chalo ek aur dafa manaaye yeh haseen din aapke bin
Muntazir toh iss tarah rehta hai pagla jaise dil milenge iss din
Apna bhool jaunga par nahi bhool paunga aapka janamdin..

Jab tum deewar par apna sar rakhti ho
Toh bahot khoobsurat lagti ho..
Phir jab tum muskura deti ho
Toh usse bhi jyada khoobsurat lagti ho..

Kehdo ki jab main tumhe din mein
Pehli dafa dekhta hoon
Toh mugh par nazar nahi rakhti
Kehdo ki jab main tumhari ore
Kadam badhata hoon
Toh tumhari dhadkan nahi badhti
Kehdo ki jab main tumhare
Roobaroo baithta hoon
Toh mere rukh ko itmenaan se nahi dekhti
Kehdo ki mere jaane ke baad
Tumne ek baar bhi meri
Kami mehsoos nahi ki
Ek aakhri baar meri kasam khaao aur
Kehdo ki har hafte tum meri
Shayari ka intezaar nahi karti..

Title: Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari