Skip to content

ghayal to the tumhe dekhkar || hindi shayari

Chal rahe the jab tum rasto par
Khushboo jese mehak rahi thi..
Jis jis ne bhi tumhe dekha
Unki dhadkane dehak rahi thi
Palatkar dekha jab tumne
Dhup mein jese badli aa gyi
Paas aaye jab tum mere
Ik shayar ke pass jese mehfil aa gayi
Arre, mehfil to aashiqo ki hi thi
Is aashiqana manzar ki kya zaroorat
Haan ghayal to the hi tumhe dekhkar
Batao tumhe khanzar rakhne ki kya zaroorat 🙃

चल रहे थे जब तुम रास्तों पर,
खुशबू, जैसे महक रही थी…
जिस जिस ने भी तुम्हें देखा,
उनकी धड़कने दहक रही थी…
पलटकर देखा जब तुमने,
धूप में जैसे बदली आ गई…
पास आए जब तुम मेरे,
इक शायर के पास जैसे महफिल आ गई…
अरे, महफिल तो आशिकों की ही थी,
इस आशिकाना मन्ज़र कि क्या जरूरत…
हाँ, घायल तो थे ही तुम्हें देखकर,
बताओ तुम्हें खंजर रखने की क्या जरूरत…🙃

Title: ghayal to the tumhe dekhkar || hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Tuney mera saath chhodd || Sad Hindi Shayari

Tune ton apna palaan jhaad diya,jite ji mujhe maar diyaan.
paa ke kisi aur kaa saath,tuney mera saath chhodd diyaan.

Title: Tuney mera saath chhodd || Sad Hindi Shayari


Jakham || sad hindi shayari

Kuch jakham kitaabon mein rakh diye
Kuch ko alfaazon mein smet diya
Kuch fool bankar mile hmein
Aur kuch ne hum hi ko smet diya 💔

कुछ जख्म किताबो में रख दिए
कुछ को अल्फाजो में समेट दिया
कुछ फूल बनकर मिले हमे
और कुछ ने हम ही को समेट दिया💔

Title: Jakham || sad hindi shayari