Skip to content

Hamko naa mile wahi toh pyar hai || hindi love shayari

Tumse dur hone ka ghum itna hoga socha nahi tha,
Hum bhi itne kamzor hain pata nahi tha.
Kaise itni jaldi kamzori ban gaye,
Milne se pehle hi zindagi bhar ka ghum de gaye.
Pehli baar mehsoos ki hai aisi khoobsurti,

Apni awaz se hi badal di humari duniya,
Kya pata agar mulaqat hoti,
Toh hamari kismat hi badal jati.
Dekho kitne majboor hain hum,
Dosti hamari thi, Dard bhi hamare hain,

Duri hamari thi, saza bhi hamari hai.
Galti bhi hamari thi, faisle bhi hamare hain.
Asal sapna toh tumse milkar dekha,
Jab ankhein khuli toh pata chala,
Jo noorani hai, wahi toh khwab hai,
Jo humko nahi mila wahi toh pyar hai.

Title: Hamko naa mile wahi toh pyar hai || hindi love shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain

Maana Ki Tum Lafzon Ke Baadshah Ho Lekin,
Hum Bhi Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain!

Title: Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain


Tu jab se begana hua || love sad Hindi shayari

Tu jab se begana hua,
Mera ghar mekhana hua!
Mekhane se jaam lekar,
Peeti hoon tera naam lekar!

तू जब से बेगाना हुआ,
मेरा घर मैखाना हुआ।
मैखाने से जाम लेकर,
पीती हूँ तेरा नाम लेकर।

Title: Tu jab se begana hua || love sad Hindi shayari