Skip to content

Hamsafar chahiye || hindi shayari || two line shayari

Zindagi ke safar mein ek humsafar chahiye
Kabhi humein shodkar na jaye je waada chahiye…❤

जिंदगी के सफर में एक हमसफर चाहीये
कभी हमें छोडकर न जाए उनसे ये वादा चाहीये….❤

Title: Hamsafar chahiye || hindi shayari || two line shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Bichadna yaad aata hai..

College ki seedhi per khade ho kar Kuch logo ke sath guftagu karna yaad aata hai,

Mujhe zindagi ke her palat’te panne ke sath,

Dosto se bichadna yaad aata hai…

Guzar raha hai waqt un parchaiyo’n ke sath,

Jinme the kuch yaar hatho me daale hath,

Na main hun ab na wo reh gaye hain wahi,

Per lamho me hain qaid wo mere kahin na kahin,

Kabhi khali se waqt me ho bhi jati hai baat,

Warna raftaar ki is duniya me koun rakhta hai ab yaad,

Jo mil jaye tumhe wo dour kahi to jaane na tum dena,

Na ayega wo lout ke is baat ko meri maan lena,

Aj bhi her mod her rasta mujhe unki yaad dilata hai,

Jin per hum sath the aur phir waqt tham sa jata hai,

Us mod per khadi hun jis rah tum mude the,

Yaar mere tu yaad kar, kabhi hum tum bhi jude the !!

Title: Bichadna yaad aata hai..


aasan nahi yaahan aashiq ho jaana | hindi zindagi shayari | female voice | Whatsapp video status

Ye zindagi bahut hi azeeb hai yaaro
koi maut se darta hai
toh koi jeete g marta hai
har kisi ko zindagi se mohobat hoti hai
aur zivan khone se har kisi ka dil darta hai
kisi ko hasati aur kisi ko rulati hai ye zindagi
aur dil ro ro kar yu hi
aahe barta hai
kisi ka shauk ban zati hai
aur koi gale lagana chahta hai ise
lekin nafrat to use ho jati hai is zindagi se
jo mohobat kisi se beshumar karta hai

song: asan nahi yahan aashiq ho jaana
palkon pe kaanton ko sajaana
aashiq ko milti hai gam ki sugaate
sab ko na milta yeh khazaana

https://youtu.be/QjjTumP_OHM

Title: aasan nahi yaahan aashiq ho jaana | hindi zindagi shayari | female voice | Whatsapp video status