Ye kaisa bawaal aa gaya,
Jeete ji marne ka sawaal aa gaya,
Chaaha to sirf tumhi ko tha,
Phir bhi tumse bichadne ka imtehaan aa gaya.
Ye kaisa bawaal aa gaya,
Jeete ji marne ka sawaal aa gaya,
Chaaha to sirf tumhi ko tha,
Phir bhi tumse bichadne ka imtehaan aa gaya.
Zindagi
Ik Taraf Lahlahata Chaman Zindagi
Ik Taraf Hai Khizaan Aur Ghutan Zindagi
Ik Taraf Himmat-O-Hausla ,Azm Bhi
Ik Taraf Uljhanein Aur Thakan Zindagi
Zindagi Aik Paheli Hai Aur Khud Hi Hal
Ab Kaho Kya Hai Aye AhleFan Zindagi
Neend Bhi Khawaab Bhi Aur Tabeer Bhi
Ik Tilasm-e-Purasraar-O-Fan Zindagi
Saltnat ,Takht-O-Taaj Aur Shahanshah Bhi
Tauq, Zanjeerein ,Daar-O-Rasan Zindagi
Sarhadon Par Nigehbaan Bhi , Ghaat Bhi
Maujzan Zindagi , Dilshikan Zindagi
Ye Hi Jashn-O-Charaaghaan Hai Aur Qahqahe
Maatam-O-Marsia , Nauhazan Zindagi
Ye Hi Shatranj Ke Mohre , Ye Hi Bisaat
Haar Aur Jeet Ka Air Chalan Zindagi
Rahguzar Bhi Hai Raahi Bhi Manzil Bhi Khud
Raahbar Bhi Zindagi Raahzan Zindagi
Khud Haqiqat Hai Aur Khud Hi Afsaanaa Bhi
Raaz Hai Az-zameen Taagagan Zindagi
Ye Hi Mahfil Bhi Hangama Sannata Bhi
Khud Hi Sanjeeda Khud Baankpan Zindagi
Zindagi Hai Ke Paani Ka Ik Bulbula
Phir Bhi Hai Kis Qadar Maujzan Zindagi
Hai Yahi Zindagi Aik Phoolon Ki Sej
Aur Kabhi Kaanton Ki Hai Chubhan Zindagi
Aashna Aur Shanasaa Bhi Anjaan Bhi
Baawatan Zindagi Bewatan Zindagi
.. Rekhta Pataulvi
Zindagi ke bhi apne alag usool hain
kisi ki raahon me kante to kisi me phool hain
bas aapka sath mil jaye to sare sharte kabool hain ✨
ज़िंदगी के भी अपने अलग उसूल हैं
किसी की राहों में कांटे तो किसी में फूल हैं
बस आपका साथ मिल जाए तो सारी शर्ते कबूल हैं ✨