Skip to content

80rullah

Mareeze-ishq || ishq shayari

Mareeze-ishq hain itna sataya na karo,

Hamare ishq ka mazak yun udaya na karo,

Iss ishq main to jaan bhi haazir hai hamari,

Magar mazaak main ise gawaya na karo.

Hamara aitbaar

Tum kitna bhi kisi ko pyaar kar lo,
Tum kitna bhi kisi ka intezaar kar lo,
Mar jayenge tumhari eik nigah pe,
Bas tum ek baar hamaara aitbaar kar lo.

Wo aati hi hogi || hindi shayari

Tum jaa rahi ho to wo aati hi hogi,
Lekin Jitni bhi buri hogi tumse to kam hi hogi,
Aur tumne beech samandar main doobne ko chodd diya,
Aur wo to meri khatir sahil lekar zamana talaashti hi hogi.

Itna pyar denge tumhe || love shayari

Itni rehmat de di tumhen, 
Ki kismat bhi sharma jae, 
Ab itna pyaar denge, 
Ke tum bhi sharma jao😍🙈

इतनी रहमत दे दी तुम्हें
कि किस्मत भी शर्मा जाए
अब इतना प्यार देंगे
कि तुम भी शर्मा जाओ😍🙈

80rullah