Skip to content

Ishq kya hai? || ehsaas shayari hindi

ishq kya hai?

  udaas jo hojauu main  to aansoo ,

  uski aankh se jhalak jaye.

  dil pe lagi baat ko bhoolkar ,

  vo meri ek muskurahat pe maanjaye.

  khafa ho jab duniya mujhse,

  to ek vo mujhe seene se lagaye.

  tohfe chah kam hi sahi par mere liye izzat,

  uski aankho me saaf nazar aaye.

  roothna manana to chalta hi hai par jo main rooth jaun ,

  to rooh uski bechain hojaye.

ye ehsaas hi to ishq hai, ye jazbat hi to ishq hai

Title: Ishq kya hai? || ehsaas shayari hindi

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Mohabbat ke lafz

Ab mohabbat hai ya nafrat isse mat jataya Karo

Baat ko Karo khatam, Jo Dil mae hai Usse zuban pe laya karo


अब मोहब्बत है या नफ़रत इससे मत जताया करो

बात को करो ख़तम, जो दिल में है उससे ज़ुबान पे लाया करो

Title: Mohabbat ke lafz


Hath to milaya kar || Hindi shayari

Khud ko itna bhi matt bachaya kar
Barishein ho to bheeg jaya kar
Chand lakar koi nahi dega
Apne chehre se jagmagaya kar
Dard heera hai dard moti hai
Dard ankhon se mat bahaya kar
Kaam le kuch haseen hontho se
Baaton baaton mein muskuraya kar
Kaun kehta hai dil milane ko
Kam se kam hath to milaya kar..😊

खुद को इतना भी मत बचाया कर,
बारिशें हो तो भीग जाया कर।
चाँद लाकर कोई नहीं देगा,
अपने चेहरे से जगमगाया कर।
दर्द हीरा है, दर्द मोती है,
दर्द आँखों से मत बहाया कर।
काम ले कुछ हसीन होंठो से,
बातों-बातों में मुस्कुराया कर
कौन कहता है दिल मिलाने को,
कम-से-कम हाथ तो मिलाया कर।😊

Title: Hath to milaya kar || Hindi shayari