Skip to content

ISHQ LIKHA HAI

Khawabo mein hai ishq jiska

Hakikat mein dosti naseeb hai,

Yaari unse kaise nibhayu

Unse ishq bohot hai

Kehnaa hai woh har lafz mujhe Jo mein ne apne kitab mein likha hai

Har panne par mein ne tujhe srif ishq likha hai

Title: ISHQ LIKHA HAI

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Agar Tu Mili Na Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Zindagi Kitni Haseen Hoti

Tu Saath Hoti !

Per Zindagi Aur Haseen Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Ye Roz Roz Khud Se Sawal Na Hote !

Ye Hari Bhari Zindagi Mein Kisi Ki Kami Khali Na Hoti 

Agar Tu Mili Na Hoti…!

Wahi Awara Man Chale Ladke Hote Hum !

Duniya ke Dour-Bhag se Thakk Ke Lout Ke

Chain Se Maa Ki Godd mein Sote Hum ❤️

Kisi Chij Ki parwaah Nahin Hoti 

Shaamon Mein Cigarette Jali Nahin Hoti 

Nashon Ki Latt Lagi Naa Hoti 

Uzaalo See Darta Nahin Dil Mera 

Bheed Ko Dekh Ke Bechaini Macchi Nahin Hoti !

Sab Sawal Ek Taraf 23 Ki Umar mein Ummar Se Phele Chehre Pe Baraf Uggi Nahin Hoti 

Hum Bhi Auron Ki Tarah Dil Se Haste 

Agar Tu Mili Nahi Hoti.

Title: Agar Tu Mili Na Hoti


समंदर सी आंखें

समंदर सी उसकी आंखें थी, डूबा तो किनारा खो गया..
दिल मेरा जंगल का शेर सा था, लहरों में बेचारा रो गया..
शुक्र है वहां कश्ती मिली मुझे, कश्ती से सहारा हो गया..
बाहर आया जब उसकी आँखों से, उसके इश्क का मारा हो गया..

Title: समंदर सी आंखें