Skip to content

Jalte zamana

Garmi Suraj mae hoti hai

Jalte zameen wale log

Jalna Suraj ko chahiye

Fir apas mae kyu jalte hai log

गर्मी सूरज मए होती है

जलते ज़मीन वाले लोग

जलना सूरज को चाहिए

फिर आपस में क्यों जलते हैं लोग

Title: Jalte zamana

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


रूह❤️ || rooh hi rooh ko || rooh shayari

रूह ही रूह को जानती है
रूह की रूह से प्रीत
रूह की रूहदारी में
रूह है रूह की मीत
रूह झूमे❤️
रूह बाबरी
रूह की अद्भुत रीत❤️
#मन

Mann✍️

Title: रूह❤️ || rooh hi rooh ko || rooh shayari


Mukammal mohobbat || love hindi shayari

Agar upar wale ki raza na hoti
Hamari tumse mulaqat na hoti
Dekh liya tumhari muskurahat ko
Ab sirf tum tum aur tum jab tak
Mohabbat mukammal na hoti..

Pata nahi kya raaz hai uske chehre ka
Kho jata hoon bus inn nigaah-e-ulfat mein..

Nazar andaaz bhi karna hai aur nazar bhi rakhna hai
Jawaab bhi nahi dena aur kalaam bhi padhna hai
Zubaan pe inkar aur dil mein ikrar rakhna hai
Khairiyat nahi poochni phir bhi khabar rakhna hai
Faisla bhi lena hai aur mere jazbaat ka khayal bhi karna hai
Dil tootne ke baad mera haal bhi gaur karna hai
Bus yahin kuch aadatein aapki pasand hai mujhko..

Meri shikayatein agar mohabbat ki adaalat tak le jaye
Toh main pehli hi tareekh mein muqadma jeet jaun..

Ek khud pasand aashiq
Aur ek usulon wali mehbooba
Dono kaafi hai sukoon tabaah karne ke liye..

Title: Mukammal mohobbat || love hindi shayari