
toh log khega
ki woh insan mila toh nahi thaa
lakin suna ha
ko woh mohobbat ajab ki karta tha

Ek waqt hi toh hai jo hamesha badal ta hai
Kitna bhi kosish karlo rukta nahi hai
Yeh kisika nahi hai gulam
Chhin ne pe aajaye toh le jaata hai sukh,chain aur aaram
Sab iske ishare par chalte hain
Jin hone manaa kiya woh jalte hain
Ye waqt kuch chhin ta hai,toh wapas bahut kuch deta hai
Jeene ka,hasne ka,pyaar karne ka phir se ek mauka deta hai
Khusiyon ki shaugaat,lamho ki baarat deta hai
Tute hue dil ke zakham ko marham deta hai
Aur pyaar karne waalon ko milne ka ek haseen mulaqaat deta hai