
pehle hi hamaare andar kitni bhi
khubiyaa kyu na ho
magar log nikalenge toh sirf kamiyaa

Haal-e-mohabbat ko dekhte huwe iss daur se faraar chahta,
Soorat ko najar andaj kar main seerat se Talluqaat chahta hun.
Bewafai,behayai,behudagi, kya kya nahi hai iss jamane mein,
Inn sabse door jaa kar main bhi kisi se wafayen pyaar chahta hun.🥰
हाल-ए-मोहब्बत को देखते हुवे इस दौर से फरार चाहता हूं,
सूरत को नजर अंदाज कर मैं सीरत से ताल्लुकात चाहता हूं।
बेवफाई,बेहयाई,बेहूदगी,क्या क्या नही है इस जमाने में,
इन सबसे दूर जाकर मैं भी किसी से वफाएं प्यार चाहता हूं ।।🥰
chalo likhti hu apne zindagi ke sabse ehem hisse ke bare me
shabd hi kam pargaye jab socha maa ke bare me
har mushkil me saath dete ek bas use dekha hai
khuda to na dekha maine par uski shaktiyon ko apni maa me dekha hai
bachpan ki beeti baaton ko main bhool kabhi na paati hu
pyar to bahut karti hoon aapse bs izhar nahi kar pati hoon