Skip to content

Keemat Aur Barhti || hindi 2 lines

Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।

Title: Keemat Aur Barhti || hindi 2 lines

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Waqt || hindi shayari || two line shayari

Zindagi me kabhi kabhi waqt aisa bhi aata hai gam ko apne andar chupa kar bahar insaan muskurata hai 🙂 

ज़िंदगी में कभी कभी वक़्त ऐसा भी आता है गम को अपने अंदर छुपा कर बाहर इंसान मुस्कुराता है 🥲

Title: Waqt || hindi shayari || two line shayari


Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Pa Liya Hai

Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Paa Liya hai

Mere Naseeb Mein  Jo Kuch Tha Mene Apna Liya hai

Kyu Karte Ho Uski Baante Mere Samne Yaaro

Usne Apna Dil Kahin Or Laga Liya Hai

Yaha Mat Jao Waha Mat Jao Isse Usse Baat Mat Karo

Yahan Har Shaqs Apni Hawas Mitane Me Laga Hua Hai

Kisi Ek Ka Ho Pana Tere Liye Mushqil Hain Shayad

Tune Apna Dil Na Jane Kitno Se Laga Rakha Hai

Khuda Kare Tere Bete Ko Ishq Ho Tujh Jesi Hi Adakara Se

Jab Hoga Tujhe Maloom Dard Ko Chhupane Mein Seene Me Kitna Zakhm Mene Bana Liya Hai.

Title: Kisi Ko Khokar Mene Khud Ko Pa Liya Hai