Skip to content

Khud ko janne wale || two line hindi shayari

Ye bhi ik umar ke baad pata chala mujhe
Khudko janne wale zameen par nhi rehte…🙌

ये भी इक उम्र के बाद पता चला मुझे,
खुदको जानने वाले जमीं पर नहीं रहते…🙌

Title: Khud ko janne wale || two line hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Best punjabi shayari || Je tu itt aa chubaare

Je tu itt aa chubaare wali
main pathar haan neeh wala
ek din aa k diggegi mere kol tu

ਜੇ ਤੂੰ ਇੱਟ ਆ ਚੁਭਾਰੇ ਵਾਲੀ
ਮੈਂ ਪੱਥਰ ਹਾਂ ਨੀਂਹ ਵਾਲਾ
ਇਕ ਦਿਨ ਆ ਕੇ ਡਿੱਗੇਗੀ ਮੇਰੇ ਕੋਲ ਤੂੰ ..#GG

Title: Best punjabi shayari || Je tu itt aa chubaare


Khud se baat… || kavita

Mann aur meri baatein…(Auron ki baat kya, tum khud k bhi sage nhi.)

Fursat mile kabhi toh mujhse bhi Milo…

Begairat khwabon ko chhod meri bhi sun lo…

Auron ki sun sun k ubb se gye ho…

Gairon se lad lad k akhir thak bhi gye ho……

Khud k kyalon व sawalon se dar gye ho…

Kya khoya kya paya k hisaabon se jo bhar gye ho…

Toh kabhi mujh se bhi mil lo…

Ek baar hi sahi par meri bhi sun lo…

Maana ki bhaagna fitrat h tumhari…

Banaye Jo rishte, adhoori reh gyi saari

Auron ki khatir ..taumra jo guzari…

Shayad ab utri h sir se zamane ki khumari…

Toh kahi Kone me ek jagah chun lo…

Kya keh raha main…usse bhi sun lo…

Toh kya hua jo tm bhaagte hi reh gye

Banaye rishte adhure hi reh gye…

Kya na bhaagna wala bhi ek jagah ruk paya h…

Marne se pehle koi pura kaha ho Paya h…

Chhod sb mere raaste ko chun lo….

Kabhi fursat mile toh meri bhi sun lo…

Title: Khud se baat… || kavita