Skip to content

Khud se baat… || kavita

Mann aur meri baatein…(Auron ki baat kya, tum khud k bhi sage nhi.)

Fursat mile kabhi toh mujhse bhi Milo…

Begairat khwabon ko chhod meri bhi sun lo…

Auron ki sun sun k ubb se gye ho…

Gairon se lad lad k akhir thak bhi gye ho……

Khud k kyalon व sawalon se dar gye ho…

Kya khoya kya paya k hisaabon se jo bhar gye ho…

Toh kabhi mujh se bhi mil lo…

Ek baar hi sahi par meri bhi sun lo…

Maana ki bhaagna fitrat h tumhari…

Banaye Jo rishte, adhoori reh gyi saari

Auron ki khatir ..taumra jo guzari…

Shayad ab utri h sir se zamane ki khumari…

Toh kahi Kone me ek jagah chun lo…

Kya keh raha main…usse bhi sun lo…

Toh kya hua jo tm bhaagte hi reh gye

Banaye rishte adhure hi reh gye…

Kya na bhaagna wala bhi ek jagah ruk paya h…

Marne se pehle koi pura kaha ho Paya h…

Chhod sb mere raaste ko chun lo….

Kabhi fursat mile toh meri bhi sun lo…

Title: Khud se baat… || kavita

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


unako kahana ki || Sad alone hindi shayari

unako kahana ki aakar ye dil bhee le jaaye
ab ye meree sunata hee nahin phir isaka karoon kya…

उनको कहना कि आकर ये दिल भी ले जाये
अब ये मेरी सुनता ही नहीं फिर इसका करूँ क्या…

Title: unako kahana ki || Sad alone hindi shayari


Jaani de gaane laa ke || 2 lines love shayari

tere karke vekhla khes nu jaffi paake saunda aa ,
pyaar tere nu vekh  jaani de gaane laake raunda aa

Title: Jaani de gaane laa ke || 2 lines love shayari