Skip to content

Khwaab shayari hindi

Wo ek Shaks mere Khwaab mein kya aane laga,

Har roz raat sone ka bas mujhe intezaar hone laga.

Use apni zindagi banane ki koshish mein lag gaye the hum,

Wo khwaab aisa toota ke use bhool jane ki dua mangne laga.

Title: Khwaab shayari hindi

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best

Jaane kon kon se Raaz kholti hai
Khamoshi jab sir chhad kar bolti hai

Le jaati hai mujhe Andheri galiyon m
Fir der tk meri nbz tatolti hai

Durr rehne ki iss se kai minnate ki mene
Teri hamraaz hoon reh reh kar Bolti hai

Kya milta hai ise gade murde udkhad kar
Raat raat bhar laasho sang dolti hai

Zehr .. tezaab… Awara khushuye
Kya kya aakar zehn m gholti hai

Mere badan m uthi hai basi limsa koi
Bechain rooh mano tera rasta tatoli hai

Title: Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best


Keemat Aur Barhti || hindi 2 lines

Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।

Title: Keemat Aur Barhti || hindi 2 lines